Hair extension ke bare me kai confusion dur krne ke lie aapke lie bahuthi important information

Hair extension ke bare me kai confusion dur krne ke lie aapke lie bahut hi important information

Hair extension kya hain?

Hair Extensions ko hair integrations ke roop mein bhi jana jaata hai. unaka upayog kar ke hair ki length aur volume mein jodane ke lie kiya jata hai. ve natural ya synthetic hair se bane ho sakate hain. Yadi aapka budget bahut tight hain, to synthetic hair extension ek sasta option hai. Halaki ve heet styling aur asani se ulajhane ke lie bahut achchhe nahin hain, synthetic hair extension un logon ke lie achchhe hain jo temporary badlav chahte hai. Unhen jyada maintain ki bhi aavashyakata nahin hai jitni natural  hair extension karate hain.

Aaj kal lambe hair ka trend jyada hai.Par har kisi ke lambe aur chamakdar hair nahi milte. iska matlab yah nahi hai ki jiske hair chhote hai vo lambe nahi kar sakta kyuki abhi hair lambe krne ke kai tarike hai jo aaj kal ke fashion ko aap follow kar sakte hai. Hair extension aaj ki generation me bahut jyada demand hai aur aapke look ko glamour aur apne hair ko volume deta hai. Lakin sath sath ye bhi information jaroori hai ki jo aap hair extension select kar rahe ho vo aapke natural hair ke sath puri tarah se match ho.  Apni favorite hair extention ko chun ne ke lie abhi chal rahe latest hair extention ki kuch information dene ja rahe hai jo aapke confusion ko dur kar ne main help kr sakta hai.

Hair extension karvane se pahle dhyan me rakhne yogy baat:

Hamesha kisi professional hair stylist help sehi extension lagvaye. kuch extention apne aap karne me aasan lag sakte hai lekin aisa karna aapke balo ko nuksan pohcha sakta hai. Extension bhut tight nahi hone chahie.

Hamesh achhi quality vale hi extension lagvaye. Extension lagvane ke bad kisi tarah ka dard ya pareshani ho rahi he to turant apne hair stylist se hair care thik karvae. Apne natural hair ki dekhbhal krna na bhule.

Best hair extension hamare list me niche die gae hai.

1. Permanent Hair Extension:

Permanent hair extention aisa extention hote hai jo aPermanent Hair Extensionsake apne hair se jud jate hai, jitni possibility ho utna scalp ke najdik jo perfact professional hair stylish ki help se lagaya jata hai jo bina professional hair stylish ke hata na sake. Jaise jaise aapke hair badhthe hai vese vese extension scalp se dur jate hai  fir se professional hair stylish dvara re-attach ki jaroorat hoti hai. Is permanent hair extention ke bhi 2 type hai.

A.  Hot Fusion Hair Extensions

Hot Fusion Hair Extensions

Is method me professional stylish ki jaroorat hoti hai jo artificial lambe hair ki chhote chhote part  divide kar ke silicone attache karke heating tool ki help se apne natural hair se jod ta hai . isme puri treatment k 6 to 8 gante hote hai.aur ye takriban 4 to 6 month rahta hai.

Fayde:

Sabse tikau tarika hai. Proper maintain krne pe 6 mahina rah sakta hai.aur pata bhi nai lagta k bal natural hai ya artificial extention kaya joint kiya he vo bhi pata nahi chalta.

Nuksan:

Ye procedure thodi lambi hai. ye lagane ke bad kuch din aapko sir dard, becheni, khujali ka anubhav ho sakta hai. professional stylish jaroorat hoti hai ye thik se nahi kiya gaya to hair ko bahut nuksan pahucha sakte hai.

B.   Cold Fusion Hair Extension

Cold Fusion Hair Extensions

Ye method kafi had tak hat fusion hair extension jesi hai. fark sirf itna

hai ki isme keratin aadharit polymer pehle se laga hota hai jise aapke hair k root main lagana hota hai. isme aapko ek special tools ki aavshakta hoti hai. Isme heating ki procedure nahi hoti hai. isko attech kar ne ke lie 4 to 6 gante lagte hai. Aur ye 2 to 3 mahine rahta hai.

Fayde:

Isme heating ka procedure nahi hota to koi risk ya hair fall ki problem ko kam karta hai. scalp ke najik lagaya ja sakta hai. Ye aapke natural hair ke sath set ho jata hai.

Nuksan:

Ye krne me bhut time lagta hai. lamping tool hair ke break hone ka karan ban sakta hai. Hair extension reusable nahi hota. Extension krvane k baad sir dard ya jalan ka anubhav hota hai.

2.   Tape-In Hair Extensions:

Tape-In Hair Extensions

Yadi aap ese hair extension ki khoj me hai jo easily kuch ganto k lie lagaye ja sake, to tap-In extension aapke lie sahi hai. ye 1.5 aur 8 inch ke bich me aate hai. ye single ya double side polyurethane tape tabs ke sath aata hai jo iske aakar ko fit hone ke lie cut kiya jata hai.

Ise lagane me 1 ya 1.5 ganta hota hai.

Ye 4 to 6 week aapne hair me rakh sakte hai.

Fayde:

Ye extension lagane ka sabse tej tarika hai. ise easily attech kar sakte hai bina kisi bhi heat ya tools. Apne nature hair me mix ho jata hai to badia result deta hai. ise fir se use kar sakte hai.

Nuksan:

Tape-In Hair Extension ko chipakne me 24 to 48 gante hote hai, isilie aap hair ko nahi wash kar sakte to pasina aa sakta hai aur kai problem bhi ho sakti hai. Aap oil ya koi dusri cheez nahi laga sakte ho kyoki extension ko khiska sakta hai.aur extension andar ho to hair ko nai bandha ja sakta.

3. Micro Ring Hair Extensions:

Micro Hair Extensions

Micro ring hair extensions chhote bundles ke roop me aate hai jo aapke natural hair k chhote chhote hisso se loop kie jate hai. iske bad extension ko ek metal ke manke dhwara secure kiya jata hai. is extension ko ek adhik suvidha janak version micro loop extension hai jo pahle se loop aur bead se attach hote hai, Isilie, unhe attachment ke lie loop tool ki aavashakta nahi hoti. Is Extension ko lagane ke lie 4 to 5 gante lagte hai. Aur ise 2 to 3 mahine hair me rakh sakte hai.

Fayde:

Micro ring hair extensions lagane ke liye garmi ya glue ki jaroorat nahi hoti is liye hair ko koi nuksan nahi hota. Is extention ko re-use kia ja sakta hai. aapke hair ke sath aasani se mix ho jata hai. aur dhone me aasan hai.

Nuksan:

Aapke scalp me khichav ya pareshani kar sakta hai

Chhote hair ya achchhe hair ke lie e comfort nahi hai. extension ko bandh karne ke dauran aapke natural hair break ho sakte hai.agar kisi prosfesional hair stylist dhwara nahi hataya gaya to ye aapke hair ko nuksan pohcha sakte hai. Isme high ponytails possible nhi hai.

4.  Weaving Hair Extension

Weaving Hair Extensions

Hair ke extension ki process me aapke hair me ek horizontal cornrow banana aur fir sui dhage ki help se hair me extension kar sakte hai. ye bunai jyadatar African mahilao dwara pahni jati hai kyoki unke bahothi thik hair hote hai. ye aapko lagane me 2 to 4 gante hote hai.aur ye 2 to 3 mahine tak rahta hai.

Fayde:

Hair me nuksan kam hota hai aur koi glue ki jaroorat nahi hoti. Aap oil ya silicone styling product use kr sakte hai.agar ise sahi maintain kiya jay to 2 to 3 mahine tak chal sakta hai. Chhote hair me bhi use hota hai.

Nuksan:

Achhe hair ke lie ye uchit nahi hai. Tight choti aapke sir ki skin me dard peda kar sakti hai. sirdard bhi ho sakta hai. Thik se saf nahi kiye jay to bacterial infection ho sakta hai. kisi professional ki help se nikalne ki jaroorat ho sakti hai.

5.  Clip-In Hair Extensions:

Clip Hair Extensions

Clip-in hair extensions in logo ke liye achha hai jo apne hair minute o me lambe chahte hai. Ye hair ke wefts hote hai jo top per unse attech clip ke sath aate hai. aapko bas unhe apne hair ke roots mainclip karna hai. Ve aakar main 2 to 8 inches ho sakta hai.Ye 5 to 10 minutes me lagaya ja sakta hai. Aap inhe chahe tab laga sakte hai aur chahe tab nikal bhi sakte hai.

Fayde:

Jab chahe tab nikal aur laga sakte hai. Regular basis pr multi colors aur style main bhi le sakte hai. uki price bhi dusre extension ke mukable kam hoti hai.

Nuksan:

Lambe time tak nahi chhoda ja sakta kyoki clip aapke hair ko damage ya tut ne ka karan ban sakti hai. Bistar pe jane se pahle hata dena chahie. Unki sasti price hoti hai to uski quality bhi bahut achhi nai hoti is liye lambe time tak nahi tikengi.

Asha hai ki meri di gayi information aapko pasand aayi hogi .

Aapko ye information kesi lagi wo muje comment me bataye !

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *